Ramzan ke maheeny main aik phal aisa hai jis ke baghair rozah iftar kanre ka tasawar bhe mumkin nahi hai, aur woh khajoor hai. Ta hum, khajooron ko superfood nahi samjha jata, lekin yeh sehat ke liye bohat faida mand hain. Yeh aik bohat he sehatmand phal hai jisy har aik ko khana chahiye.

Quran Kareem main sab se ziyada zikar hony wala phal khajoor hai. Medjool Khajoor aik bohat hi meetha aur mutanasib phal hai. Isy koi bhe, khawah jawan ho ya boorha, kisi bhe waqat kha sakta hai.

Khajoor khana Rasool Allah ﷺ  ki sunnat hai, lekin kia aap janty hain ke na sirf ramazan main balky aam dino main bhe kam sy kam teen khajoorain din ke waqat khana kitna faida mand hai? Agar nahi to yahan hum bayan karain ge ke khajoorain kaise aap ke sehat ko barqarar rakhne main madadgar sabit hongi.

Pakistan khajoorain paida karny main duniya ka chotha bara mulk hai. Yahan se duniya ke taqreeban tees mumalik main khajoorain baramad ki jati hain. Pakistan ke suba Sindh main Rajan Kot aur Sukkur ki khushk khajooron ko puri duniya main pasand kia jata hai.

Agar hum Pakistan main medjool khajoor mandi ki baat karain to har choty bary shehar main aik khajoor mandi mojood hai jahan Saudi Arab se daramad shudah khajoorain bhi bari tadad main farokht hoti hain.

Hadees Ki Roshani Main Khajoor Ke Ahmiyat:

Aik hadees mubaraka ka mafhoom kuch yun hai ke “Rasool Allah ﷺ    ne irshad farmaya hai ke jis ke pas koi khajoor ho to usy chahiye ke woh apna roza khajoor se iftar kare. Aur woh jisy medjool khajoor muyassir na ho woh pani sy rozah khol sakta hai”.

Hazrat Abdullah Bin Salam bayan karte hain ke main ne dekha ke Hazoor ﷺ ne jow ki roti ke aik tukry par khajoor rakhi aur phir aap ﷺ ne farmaya ke yeh is roti ka salan hai. (Sunnan Abu Dawood)

benefits-of-khajur

Kaha jata hai ke khajoor tawanai ka mukamal zariya hai. Khajoor khany se dil mazboot hota hai. Jisam ko fori tor par tawanai faraham karne ke ilawa khajoor beenai ko fa’aal aur taiz karti hai aur jisam main quwat-e-mudafiyat paida karti hai.

Khajoor nazla, zukam, flu, galy ki sozish aur cheenkon ke liye bohat hi faida mand hai. Yeh jisam se ghair zaruri mawaad nikalny aur blood pressure ko matwazan rakhny ke liye bhe intehai mufeed samjhi jati hai. Khajoorain hadiyon aur danton ki sehat ke liye bhe intehai moassar hain. Is ke ilawa sartaan ki rok tham main bhe aham kirdar ada karti hain. Khoon main shakar ki kam miqdar ko matwazan karti hain.

Bemari ke baad hone wali kamzori ko bhe khajooron ki madad se door kia ja sakta hai aur thakawat door karne ke liye bohat mufeed hain. Yeh qabaz ko door karne main bhe muawan sabit hoti hain. Maida kharab hone ki surat main intehai faida mand hain. Khajoor doodh ke sath puri ghizayat faraham karti hai aur agar ise shehad ke sath istemal kia jaye to iska faida do guna ho jata hai.

Yahan Khajooron ke khany ke chand bary fawaid bayan kiye ja rahy hain;

1. Khoon Ki Kami Ko Door Karti Hain:

Khajoorain be waqati bhook ki latt par qabu pany ka aik moassar zariya hain jab ke insane jisam main iron ki satah main bhe izafa hota hai, jis se Khoon ki kami ko jaldi khatam karne main madad milti hai. Ta hum, Ziabetees ke mareezon ko khajoor ke istemal ke bary main mohtat rehne ki zarurat hai.

2. Hadiyon Ki Sehat Ko Behtar Banati Hain:

Tibbi mahireen ke mutabiq khajooron main carbon mojood hota hai jo hadiyon ki sehat ko behtar banany main madad karta hai. Aik aur tehqeeq main bataya gaya hai ke khajooron main phosphorus, potassium, calcium, aur magnesium jesi maadaniyat hadiyon ko mazboot banati hain aur bemariyon ke khilaf larny main madad faraham karti hain.

3. Nizam-e-Inhezam Behtar Banati Hain:

Khajooron main fiber ki miqdar ziyada hoti hai, jo nizam inhizam ke sahi kaam karne ke liye intehai zaruri hai. Aanton ki sargarmiyon main izafa karte hue fiber ka istemal qabaz ko rokta hai. British Journal of Nutrition main shaiah hone wali aik tehqeeq main bataya gaya hai ke jo log rozana ki bunyad par khajoor khany ke aadi hain wo doosron ke muqably main behtar nizam-e-inhizam rakhte hain.

4. Zehni Tanao Se Larne Main Madad Milti Hai:

Khajooron main vitamin B6 bhe hota hai, jo jisam ko serotonin aur norepinephrine banany main madad deta hai, jo zehni sehat ko behtar banata hai. Serotonin mood ko munazzam karta hai jab ke norepinephrine tanao ka muqabla karta hai. Aik tehqeeq main pata chala hai ke jisam main vitamin B6 ki kam satah aur zehni tanao ke mabain aik rabt hai.

5. Jismani Tawanai Main Izafa Hota Hai:

Fiber, potassium, magnesium, vitamin aur antioxidants ki mojodgi khajooron ko behtareen phal banati hai, jab ke is main mojood sugar aur glucose jisam ko fori tor par tawanai faraham karte hain. Aik tehqeeq ke mutabiq, khajoorain na sirf jismani tawanai main izafa karti hain balke ise barqarar rakhne main bhe madadgar sabit hoti hain.

6. Dil Ki Bemari Se Tahafuz:

Aik tehqeeq main bataya gaya hai ke khajooron se triglycerides ki satah aur oxidative stress main kami ati hai. Yeh dono dil ki bemari ke kalidi awamil hain, aur ye ke potassium blood pressure ki satah ko kam karta hai, jis se falij ka khatra kam ho jata hai, jab ke dil ki bemariyon se bhe mehfooz rakhti hai.

7. Sartaan Ke Khatre Ko Kam Karti Hai:

Khajoor khany ki aadat hazmy ki hifazat karti hai aur maida main nuqsan deh bacteria ki miqdar ko kam karti hai jink o aanton main phailney ka khatra hota hai. Aik tehqeeq main bataya gaya hai ke khajoor khany ke aadi afraad apne pait main faida mand bacteria tiyar karte hain jo cancer yani sartaan ke khuliyon ko aanton main phailne se rokte hain.

8. Mosami Allergy Se Bachati Hai:

Duniya bhar main lakhon afrad mosmi allergy main mubtila hain, aura chi khabar yeh hai ke khajooron se tahafuz milta hai. Aik tehqeeq main bataya gaya hai ke khajooron se mosmi allergy wale afrad main allergy ka khatra kam hota hai.

9. Wazan Main Kami:

Khajoorain khane se wazan kam karne main bhe madad milti hai. Khoon main glucose ko barhny se rokte hue khajooron main mojood fiber maida ko lambe arse tak bharta rehta hai. Mazeed yeh ke khajooron main mojood antioxidants jisam se zehreela mawaad nikal kar hazma ko taiz karte hain, jo metabolism ko taiz karta hai.

khajoor ki iqsam

Is waqat duniya bhar main khajooron ki 2 hazar iqsam hain, jin main se aaj kal sirf 400 iqsam Saudia arab main baki hain. Riwayati tor par, ziyada tar musalman is ke sath rozah iftar karte hain. Khajoorain mashriq-e-wusta main bary paimany par ugai jati hain. Khajooron ki bohat si iqsam hain jin main se har aik ki apni alag khasusiyat hain. Mashriq-e-wusta ke mukhtalif mumalik aur Pakistan se kuch mashoor khajooron ki iqsam darj zail hain;

1. Ajwa Khajoor

ajwa date

Yeh kaly rang ki khajoor Madina Munawarah main ugai jati hai. Kuch logon ka khiyal hai ke is tarha ki khajooron main bhe shifa bakhash khasusiyat hain. Ajwa khajoor Madina Munawarah ka aik khas phal hai aur is ke darakhat Madina Munawarah main qadeem zamane se paye jate hain. Ise musalmano ke dastarkhawano main bohat he ahmiyat hasil hai kiyonke Ajwa Khajoor Nabi Karim   ﷺ ki pasandeedah khajoor rahi hai.

Tareekh se pata chalta hai ke Nabi Karim ﷺ  ke nazool se bohat pehle khajoor ke darakhton ki bohtat dekh kar kuch yahoodi qabail yahan abaad hogaye thy. Yeh ahadees main riwayat hai. Agarchy kuch tabeeb hazraat ne tibbi tor par khajooron ki afadiyat aur khasusiyat par tehqeeq ki hai aur isy mufeed paya hai.

2. Sagai Khajoor

Sagai Khajoor apne zaiqy aur sehat se mutaliq hairat angaiz fawaid ki wajah se duniya bhar main mash’hoor hai. Bohat si iqsam ki khajoorain hain jin ke sehat se mutaliq apne fawaid hain. Lekin, sagai khajoor ki apni aik alag jagah hai. Qabaz ki pareshaniyon se najat ke liye sagai khajoorain bohat he behtareen hain. Is ke ilawa, in khajooron ko maidy ki sehat ke liye bhe acha samjha jata hai.

Sagai khajoor ki shehwat angaiz khasusiyat mardana sehat se mutaliq amoor jaise qilat-e-mani aur namardi ka aik mukamal ilaj banati hain. Yeh jisam se laghar pan bhe door karti hain aur taqat deti hain.

Sagai_Khajur

3. Kalmi Khajoor

kalmi khajoor

Kalmi khajoor Saudia Arab se taluq rakhne wali aik naram aur mulaim qisam ki khajoor hai. Is ki kasht bunyadi tor par Madina Munawarah main ki jati hai. Kalmi khajoor ko safwi khajoor bhe kaha jata hai. Yeh gehry bhoory rang ki khajoor khush zaiqa hoti hai. Kalmi khajoor poori tarha se vitamins se bhari hoti hai aur vitamins hadiyon ko mazboot banany aur dil ki sehat ko behtar banany main muawan hain.

4. Mabroom Khajoor

Mabroom khajoorain chipchipi aur ziaqy main lazeez hoti hain. Mabroom khajoor surkh peetal ki jild aur candi numa zaiqy ki hamil hoti hai. Is qisam ki khajoor hamwar aur lazat amaiz zaiqa rakhi hai, ta ham dusri tarha ki khajooron se kahin ziyadah sakht hai. Yeh chabany main kafi sakht hot hai. Mabroom khajoor main mutadad vitamins, reshy aur degar madniyat paye jate hain jo sehat mand zehan aur jisam ke liye bohat zaruri hain. Mabroom khajoor sakht main bohat he naram hoti hai.

mabroom khajoor

5. Amber Khajoor

amber khajoor

Amber khajoor Madina Munawarah main kasht ki jane wali bohat he aala nasal ki khajooron main se aik hai. Amber khajoor naram aur asani se chabai jane wali khajoor hai. Ye sakht main khushk hoti hai. Ye bary size ke liye mashoor hain. Amber khajoor intehai mehngi khajooron main se hai aur ye size main aam khajooron se bari hoti hai.

6. Sukri Kahjoor

Tamam iqsam main sab se bahtreen kahjoor Sukri khajoorain hain jo khajoor ki malka ke naam se bhe jani jati hain. Sukri khajoorain chote size ki hoti hain aur inka rang sunehri hota hai. Sukri Khajoor sakhat hoti hai. Meethi Sukri khajoorain tamam ghizai ajza se bharpoor hoti hain aur mukhtalif bemariyon se bachne main madad deti hain. Ye Khajoorain asal main Saudi Aarab se daramad ki jati hain.

sukri date

7. Khudri Khajoor

Khudri-Khajur

Khudri khajoor aise shaks ke liye behtareen ilaj hai jisy bila zarurat waqtan fawaqtan khany ki adat hoti hai. Yeh khajoor bila zarurat khany ki adat ko khatam karne main madad faraham karti hai. Khudri khajoor main calcium, sulphur, phosphorus, iron, manganese, potassium, magnesium, oil, vitamins, folic acid, magnesium, sugar, aur qudarti vitamins bhe hote hain aur yeh qudarti reshon se mala mal hoti hai jo jisam aur dimagh ko sehat bakhshti hai.
Khudri khajoor qudarti mithas aur glucose mohaiya karti hai jo nizam-e-inhizam ko faa’al banate hain. Khudri khajoor khane ke bohat se jismani aur dimaghi fawaid hain. Is ke ilawa is khajoor ko khane se sartaan jesi bemari ki rok tham ki ja sakti hai.

رمضان کے مہینے میں ایک پھل ایسا ہے جس کے بغیر روزہ افطار کرنے کا تصور بھی ممکن نہیں ہے ، اور وہ کھجور ہے۔ تاہم ، کھجوروں کو سپر فوڈ نہیں سمجھا جاتا ہے، لیکن یہ صحت کے لئے بہت فائدہ مند ہیں۔ یہ ایک بہت ہی صحتمند پھل ہے جسے ہر ایک کو کھانا چاہئے۔

قرآن کریم میں سب سے زیادہ ذکر ہونے والا پھل کھجور ہے۔ کھجور ایک بہت ہی میٹھا اور متناسب پھل ہے۔ اسے کوئی بھی خواہ جوان ہو یا بوڑھا ، کسی بھی وقت کھا سکتا ہے۔

کھجور کھانا رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی سنت ہے ، لیکن کیا آپ جانتے ہیں کہ نہ صرف رمضان میں بلکہ عام دنوں میں بھی کم سے کم تین کھجوریں دن  کے وقت کھانا کتنا فائدہ مند ہے؟ اگر نہیں تو یہاں ہم بیان کریں گے کہ کھجوریں کیسے آپ کی صحت کو برقرار رکھنے میں مددگار ثابت ہوں گی۔

پاکستان کھجوریں پیدا کرنے میں دنیا کا چوتھا بڑا ملک ہے۔ یہاں سے ، دنیا کے تقریبا تیس ممالک میں کھجوریں برآمد کی جاتی ہیں۔ پاکستان کے صوبہ سندھ میں راجن کوٹ اور سکھر کی خشک کھجوروں کو پوری دنیا میں پسند کی جاتی ہیں۔

اگر ہم پاکستان میں کھجور منڈی کی بات کریں تو ہر چھوٹے بڑے شہر میں ایک کھجور منڈی موجود ہے جہاں سعودی عرب سے درآمد شدہ کھجوریں بھی بڑی تعداد میں فروخت ہوتی ہیں۔

حدیث کی روشنی میں کھجوروں کی اہمیت

ایک حدیث مبارکہ کا مفہوم کچھ یوں ہے کہ “رسول اللہ ﷺ نے ارشاد فرمایا ہے کہ جس کے پاس کوئی کھجور ہو تو اسے چاہئیے کہ وہ اپنا روزہ کھجور سے افطار کرے۔ اور وہ جسے کھجور میسر نہ ہو وہ پانی سے روزہ کھول سکتا ہے”۔

حضرت عبد اللہ بن سلام بیان کرتے ہیں کہ میں نے دیکھا کہ حضور صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے جو کی روٹی کے ایک ٹکڑے پر کھجور رکھی اور پھر آپ نے فرمایا کہ یہ اس روٹی کا سالن ہے۔ (سنن ابو داؤد)

benefits-of-khajur

کہا جاتا ہے کہ کھجور توانائی کا مکمل ذریعہ ہے۔ کھجور کھانے سے دل مضبوط ہوتا ہے۔ جسم کو فوری طور پر توانائی فراہم کرنے کے علاوہ کھجور بینائی کو فعال اور تیز کرتی ہے اور جسم میں قوت مدافعت پیدا کرتی ہے۔

یہ نزلہ زکام ، فلو ، گلے کی سوزش اور چھینکوں کے لئے بہت ہی فائدہ مند ہے۔ یہ جسم سے غیر ضروری مواد نکالنے اور بلڈ پریشر کو متوازن رکھنے کیلئے بھی انتہائی مفید سمجھی جاتی ہے۔ کھجوریں ہڈیوں اور دانتوں کی صحت کیلئے بھی انتہائی موثر ہیں۔ اس کے علاوہ سرطان کیے روک تھام میں بھی اہم کردار ادا کرتی ہیں۔ خون میں شکر کی کم مقدار کو متوازن کرتی ہیں۔

بیماری کے بعد ہونے والی کمزوری کو بھی کھجوروں کی مدد سے دور کیا جا سکتا ہے اور تھکاوٹ دور کرنے کے لئے بہت مفید ہیں۔ یہ قبض کو دورکرنے میں بھی معاون ثابت ہوتی ہیں۔ معدہ خراب ہونے کی صورت میں انتہائی فائدہ مند ہیں۔ کھجور دودھ کے ساتھ پوری غذائیت فراہم کرتی ہے اور اگر اسے شہد کے ساتھ استعمال کیا جائے تو اس کا فائدہ دوگنا ہوجاتا ہے۔

یہاں کھجوروں کے کھانے کے چند بڑے فوائد بیان کئے جارہے ہیں۔

خون کی کمی کو دور کرتی ہی

کھجوریں بے وقتی بھوک کی لت پر قابو پانے کا ایک مؤثر ذریعہ ہیں جبکہ انسانی جسم میں آئرن کی سطح میں بھی اضافہ ہوتا ہے ، جس سے خون کی کمی کو جلدی ختم کرنے میں مدد ملتی ہے۔ تاہم ، ذیابیطس کے مریضوں کو کھجور کے استعمال کے بارے میں محتاط رہنے کی ضرورت ہے۔

ہڈیوں کی صحت کو بہتر بناتی ہیں

طبی ماہرین کے مطابق کھجوروں میں کاربن ہوتا ہے جو ہڈیوں کی صحت کو بہتر بنانے میں مدد کرتا ہے۔ ایک اور تحقیق میں بتایا گیا ہے کہ کھجوروں میں فاسفورس ، پوٹاشیم ، کیلشیم اور میگنیشیم جیسے معدنیات ہڈیوں کو مضبوط بناتے ہیں اور بیماریوں کے خلاف لڑتے ہیں۔

نظام انہظام بہتر بناتی ہیں

ہڈیوں میں فائبر کی مقدار زیادہ ہوتی ہے ، جو نظام انہضام کے صحیح کام کے لئے ضروری ہے۔ آنتوں کی سرگرمیوں میں اضافہ کرتے ہوئے فائبر کا استعمال قبض کو روکتا ہے۔ برٹش جرنل آف نیوٹریشن میں شائع ہونے والی ایک تحقیق میں بتایا گیا ہے کہ جو لوگ روزانہ کی بنیاد پر کھجور کھانے کے عادی ہیں وہ دوسروں کے مقابلے میں بہتر نظام انہضام رکھتے ہیں۔

ذہنی تناؤ اور افسردگی سے لڑنے میں مدد ملتی ہے

کھجوروں میں وٹامن بی 6 بھی ہوتا ہے ، جو جسم کو سیرٹونن اور نورپائنفرین بنانے میں مدد دیتا ہے ، جو ذہنی صحت کو بہتر بناتا ہے۔ سیرٹونن موڈ کو منظم کرتا ہے جبکہ نوریپائنفرین تناؤ کا مقابلہ کرتا ہے۔ ایک تحقیق میں پتا چلا ہے کہ جسم میں وٹامن بی 6 کی کم سطح اور افسردگی کے مابین ایک ربط ہے۔

جسمانی توانائی میں اضافہ ہوتا ہے

فائبر ، پوٹاشیم ، میگنیشیم ، وٹامن اور اینٹی آکسیڈینٹ کی موجودگی کھجوروں کو بہترین پھل بناتی ہے ، جبکہ اس میں موجود شوگر اور گلوکوز جسم کو فوری طور پر توانائی فراہم کرتے ہیں۔ ایک تحقیق کے مطابق ، کھجوریں نہ صرف جسمانی توانائی میں اضافہ کرتی ہیں بلکہ اسے برقرار رکھنے میں بھی مددگار ثابت ہوتی ہیں۔

دل کی بیماری سے تحفظ

ایک تحقیق میں بتایا گیا ہے کہ کھجوروں سے ٹرائگلیسیرائڈ کی سطح اور آکسیڈیٹیو تناؤ میں کمی آتی ہے ، یہ دونوں دل کی بیماری کے کلیدی عوامل ہیں ، اور یہ کہ پوٹاشیم بلڈ پریشر کی سطح کو کم کرتا ہے ، جس سے فالج کا خطرہ کم ہوتا ہے، جبکہ دل کی بیماریوں سے بھی محفوظ رکھتی ہے۔

سرطان کے خطرے کو کم کرتی ہے

کھجور کھانے کی عادت ہاضمے کی حفاظت کرتی ہے اور معدہ میں نقصان دہ بیکٹیریا کی مقدار کو کم کرتی ہے جن کو آنتوں میں پھیلنے کا خطرہ ہوتا ہے۔ ایک تحقیق میں بتایا گیا ہے کہ کھجور کھانے کے عادی افراد اپنے پیٹ میں فائدہ مند بیکٹیریا تیار کرتے ہیں جو کینسر کے خلیوں کو آنتوں میں پھیلنے سے روکتے ہیں۔

موسمی الرجی سے بچاتی ہے

دنیا بھر میں لاکھوں افراد موسمی الرجی میں مبتلا ہیں ، اور اچھی خبر یہ ہے کہ کھجوروں سے تحفظ ملتا ہے۔ ایک تحقیق میں بتایا گیا ہے کہ کھجوروں سے موسمی الرجی والے افراد میں الرجی کا خطرہ کم ہوتا ہے۔

وزن میں کمی

کھجوریں کھانے سے وزن کم کرنے میں بھی مدد ملتی ہیں۔ خون میں گلوکوز کو بڑھنے سے روکتے ہوئے کھجوروں میں موجود فائبر معدہ کو لمبے عرصے تک بھرتا رہتا ہے۔ مزید برآں ، کھجوروں میں موجود اینٹی آکسیڈینٹ جسم سے زہریلا مواد نکال کر ہاضمہ کو تیز کرتے ہیں ، جو میٹابولزم کو تیز کرتا ہے۔

khajor ki eqsam

اس وقت دنیا بھر میں کھجوروں کی دو ہزار اقسام ہیں ، جن میں سے آج کل صرف چار سواقسام سعودی عرب میں باقی ہیں۔ روایتی طور پر ، زیادہ تر مسلمان اس کے ساتھ روزہ افطار کرتے ہیں۔ کھجوریں مشرق وسطی میں بڑے پیمانے پر اگائی جاتی ہیں۔ بہت سی قسم کی کھجوریں ہیں ، جن میں سے ہر ایک کی اپنی الگ خصوصیات ہیں۔ مشرق وسطی کے مختلف ممالک سے کچھ :مشہور کھجوروں کی اقسام درج ذیل ہیں

عجوہ کھجور

ajwa date

یہ کالے رنگ کی کھجور مدینہ منورہ میں اگائی جاتی ہے۔ کچھ لوگوں کا خیال ہے کہ اس طرح کی کھجوروں میں بھی شفا بخش خصوصیات ہیں۔ عجوہ کھجور مدینہ منورہ کا ایک خاص پھل ہے اور اس کے درخت مدینہ منورہ میں قدیم زمانے سے پائے جاتے ہیں۔ اسے مسلمانوں کے دسترخوانوں میں بہت ہی اہمیت حاصل ہے کیونکہ عجوہ کھجور نبی کریم ﷺ کی پسندیدہ کھجور رہی ہے۔

تاریخ سے پتہ چلتا ہے کہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے نزول سے بہت پہلے کھجور کے درختوں کی بہتات دیکھ کر کچھ یہودی آئے اور یہاں آباد ہوگئے تھے۔ یہ احادیث میں روایت ہے۔ اگرچہ کچھ ڈاکٹروں نے طبی طور پر کھجوروں کی افادیت اور خصوصیات پر تحقیق کی ہے اور اسے مفید پایا ہے۔

سگئی کھجور

سگئی کھجور اپنے ذائقہ اور صحت سے متعلق حیرت انگیز فوائد کی وجہ سے دنیا میں مشہور ہے۔ بہت سی اقسام کی کھجوریں ہیں جن کے صحت سے متعلق اپنے فوائد ہیں ، لیکن سگئی کھجور کی اپنی ایک الگ جگہ ہے۔ قبض کی پریشانیوں سے نجات کے لئے سگئی کھجوریں بہت ہی بہترین ہیں۔ اس کے علاوہ، ان کھجوروں کو معدے کی صحت کے لئےبھی اچھا سمجھا جاتا ہے۔ سگئی کھجور کی شہوت انگیز خصوصیات مردانہ صحت سے متعلق امور جیسے قلت منی اور نامردی کا ایک مکمل علاج بناتی ہیں۔ یہ جسم سے لاغر پن کو بھی دور کرتی ہیں اور طاقت دیتی ہیں۔

Sagai_Khajur

قلمی کھجور

kalmi khajoor

قلمی کھجور سعودی عرب سے تعلق رکھنے والی ایک نرم اور ملائم قسم کی کھجور ہے۔ اس کی کاشت بنیادی طور پر مدینہ منورہ میں کی جاتی ہے۔ قلمی کھجور کو صفوی کھجور بھی کہا جاتا ہے ، یہ گہرے بھورے رنگ  کی کھجور خوش ذائقہ ہوتی ہے ۔ قلمی کھجور پوری طرح سے وٹامنز سے بھری ہوتی ہے اور وٹامن ہڈیوں کو مضبوط بنانے اور دل کی صحت کو بہتر بنانے میں معاون ہیں۔

:مبروم کھجور

مبروم کی کھجوریں چپچپی اور ذائقہ میں لذیذ ہوتی ہیں۔ مبروم کھجور سرخ پیتل کی جلد اور کینڈی نما ذائقہ کی ہوتی ہے۔ اس قسم کی کھجور ہموار اور لذت آمیز ذائقہ رکھتی ہے ، تاہم دوسری طرح کی کھجوروں سے کہیں زیادہ سخت ہے۔ یہ چبانے میں کافی سخت ہوتی ہے۔ مبروم کھجور میں متعدد وٹامنز ، ریشے اور دیگر معدنیات پائے جاتے ہیں جو صحت مند ذہن اور جسم کیلئے بہت ضروری ہیں۔ مبروم کھجور خشک نہیں ہے لیکن ساخت میں بہت ہی نرم ہوتی ہے۔

mabroom khajoor

:عنبر/ امبر کھجور

amber khajoor

امبر کھجور مدینہ منورہ میں کاشت کی جانے والی بہت ہی اعلی نسل کی کھجوروں میں سے ایک ہے۔ امبر کھجور نرم  اور آسانی سے چبائی جانے والی کھجور ہے۔ یہ ساخت میں خشک ہوتی ہیں۔ یہ بڑے سائز کے لئے مشہور ہیں۔ یہ انتہائی مہنگی کھجوروں میں سے ہے اور یہ سائز میں عام کھجوروں سے بڑی ہوتی ہے۔

:سکری کھجور

تمام قسموں میں سب سے بہترین کھجور سکری کھجوریں ہیں جو کھجور کی ملکہ کے نام سے بھی جانی جاتی ہیں۔ سکری کھجوریں چھوٹے سائز کی ہوتی ہیں اور ان کا رنگ سنہری ہوتا ہے۔ سکری کھجور سخت  ہوتی ہیں۔ میٹھی سکری کھجوریں غذائی اجزاء سے بھری ہوتی ہیں اور مختلف بیماریوں سے بچنے میں مدد دیتی ہیں۔ یہ کھجوریں اصل میں سعودی عرب سے درآمد کی جاتی ہیں۔

sukri date

خضری کھجور

Khudri-Khajur

خضری کھجور کسی شخص کو زیادہ کھانے کی عادت سے بچانے میں مدد دیتی ہے اس میں کیلشیم ، سلفر ، فاسفورس ، آئرن ، مینگنیس ، پوٹاشیم ، میگنیشیم ، تانبا ، تیل ، وٹامنز ، فولک ایسڈ ، میگنیشیم ، پروٹین ، شکر ، آئرن ، قدرتی وٹامن بھی ہوتے ہیں اور یہ قدرتی ریشوں سے مالا مال ہوتے ہیں جو  جسم اور دماغ  کو صحت بخشتے ہیں۔

خضری کھجور قدرتی مٹھاس اور گلوکوز مہیا کرتی ہے جو نظام انہظام کو فعال بناتے ہیں۔ خضری کھجور کھانے کے بہت سے جسمانی اور دماغی فوائد ہیں۔ اس کے علاوہ اس کھجور کو کھانے سے سرطان جیسی بیماری کی روک تھام کی جا سکتی ہے۔

Khajooron Ki Iqsam aur Fawaid

کھجوروں کی اقسام اور فوائد

Back to Top